sarāsar nafā thā lekin ḳhasāra jā rahā hai
to kyā jiitī huī baazī ko haarā jā rahā hai
safar āġhāz karnā thā jahāñ se zindagī kā
hameñ un rāstoñ se ab guzārā jā rahā hai
ye kin ke paas girvī rakh diyā ham ne samundar
ye kin logoñ ko sāhil par utārā jā rahā hai
use jo bhī milā bach kar nahīñ aayā abhī tak
magar jo bach gayā milne dobāra jā rahā hai
'salīm' ik āḳhirī mazmūn baaqī thā ki chhapne
mirī rusvā.ī kā taaza shumāra jā rahā hai