Saleem Kausar

kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
kabhī sitāre kabhī kahkashāñ bulātā hai
hameñ vo bazm meñ apnī kahāñ bulātā hai
na jaane kaun sī uftād aa paḌī hai ki jo
ham ahl-e-ishq ko kār-e-jahāñ bulātā hai
ye kaisā dām-e-rihā.ī bichhā diyā us ne
zamīñ pakaḌtī hai aur āsmāñ bulātā hai
galī galī meñ aqīdoñ bharī dukāneñ haiñ
qadam qadam pe nayā āstāñ bulātā hai
bhaTak ga.e haiñ magar gum nahīñ hue haiñ kahīñ
abhī hameñ jaras-e-kārvāñ bulātā hai
ye aag lagne se pahle kī bāz-gasht hai jo
bujhāne vāloñ ko ab tak dhuāñ bulātā hai
ummīd TūTne lagtī hai jab bhī koī 'salīm'
to ik yaqīñ pas-e-vahm-o-gumāñ bulātā hai
Top Urdushayar.com