Saleem Kausar

tare jo kabhi ashk-fishani se nikalte

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
taare jo kabhī ashk-fishānī se nikalte
ham chāñd uThā.e hue paanī se nikalte
ḳhāmosh sahī markazī kirdār to ham the
phir kaise bhalā terī kahānī se nikalte
mohlat hī na dī gardish-e-aflāk ne ham ko
kyā silsila-e-naql-e-makānī se nikalte
ik umr lagī terī kushāda-nazrī meñ
is tañgi-e-dāmāñ ko girānī se nikalte
bas ek hī mausam kā tasalsul hai ye duniyā
kyā hijr-zada ḳhvāb-e-javānī se nikalte
vo vaqt bhī guzrā hai ki dekhā nahīñ tum ne
sahrāoñ ko dariyā kī ravānī se nikalte
shāyad ki 'salīm' amn kī sūrat nazar aatī
ham log agar shola-bayānī se nikalte
Top Urdushayar.com