bas ik rasta hai ik āvāz aur ek saayā hai
ye kis ne aa ke gahrī niiñd se mujh ko jagāyā hai
bichhaḌtī aur miltī sā.atoñ ke darmiyān ik pal
yahī ik pal bachāne ke liye sab kuchh gañvāyā hai
idhar ye dil abhī tak hai asīr-e-vahshat-e-sahrā
udhar us aañkh ne chāroñ taraf pahra biThāyā hai
tumheñ kaise batā.eñ jhuuT kyā hai aur sach kyā hai
na tum ne aa.ina dekhā na ā.īna dikhāyā hai
hameñ ik ism-e-āzam yaad hai vo saath hai, ham ne
ka.ī baar āsmāñ ko in zamīnoñ par bulāyā hai
kahāñ tak rokte ā.ankhoñ meñ abr-o-bād-e-hijrāñ ko
ab aa.e ho ki jab ye shahr zer-e-āb aayā hai
'salīm' ab tak kisī ko ba-duā dī to nahīñ lekin
hamesha ḳhush rahe jis ne hamārā dil dukhāyā hai