Saleem Kausar

kabhi mausam sath nahin dete kabhi bel munDer nahin chaDhti

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
kabhī mausam saath nahīñ dete kabhī bel muñDer nahīñ chaḌhtī
lekin yahāñ vaqt badalne meñ aisī koī der nahīñ lagtī
kahīñ andar bazm sajā.e hue kahīñ bāhar ḳhud ko chhupā.e hue
tire zikr kā kaam nahīñ ruktā tirī yaad kī umr nahīñ Dhaltī
ik ḳhvāb-numā tamsīl kā dhundlā aks hai ā.īna-ḳhāne meñ
vo husn dikhā.ī nahīñ detā aur phir bhī nigāh nahīñ haTtī
ka.ī sadiyāñ biit ga.iiñ mujh meñ tire qurb kī be-lazzat rut meñ
mirā jism namāz kā aadī hai mirī ruuh namāz nahīñ paḌhtī
Top Urdushayar.com