Saleem Kausar

dil-e-simab-sifat phir tujhe zahmat dunga

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
dil-e-sīmāb-sifat phir tujhe zahmat dūñgā
dūr-uftāda zamīnoñ kī masāfat dūñgā
apne atrāf nayā shahr basā.ūñgā kabhī
aur ik shaḳhs ko phir us kī hukūmat dūñgā
ik diyā niiñd kī āġhosh meñ jaltā hai kahīñ
silsila ḳhvāb kā TuuTe to bashārat dūñgā
qissa-e-sūd-o-ziyāñ vaqf-e-mudārāt huā
phir kisī roz mulāqāt kī zahmat dūñgā
maiñ ne jo likh diyā vo ḳhud hai gavāhī apnī
jo nahīñ likkhā abhī us kī bashārat dūñgā
ek safha kahīñ tārīḳh meñ ḳhālī hai abhī
āḳhirī jañg se pahle tumheñ mohlat dūñgā
Top Urdushayar.com