Saleem Kausar

ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
ajnabī hairān mat honā ki dar khultā nahīñ
jo yahāñ ābād haiñ un par bhī ghar khultā nahīñ
rāste kab gard ho jaate haiñ aur manzil sarāb
har musāfir par tilism-e-rahguzar khultā nahīñ
dekhne vaale taġhāful kār-farmā hai abhī
vo darīcha khul gayā husn-e-nazar khultā nahīñ
jaane kyuuñ terī taraf se dil ko dhaḌkā hī rahā
is takalluf se to koī nāma-bar khultā nahīñ
intizār aur dastakoñ ke darmiyāñ kaTtī hai umr
itnī āsānī se to bāb-e-hunar khultā nahīñ
ham bhī us ke saath gardish meñ haiñ barsoñ se 'salīm'
jo sitāra saath rahtā hai magar khultā nahīñ
Top Urdushayar.com