Saleem Kausar

tilism-KHana-e-asbab mere samne tha

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
tilism-ḳhāna-e-asbāb mere sāmne thā
mirā hī dekhā huā ḳhvāb mere sāmne thā
vahī nahīñ thā jise dil talak rasā.ī thī
ki yuuñ to majma-e-ahbāb mere sāmne thā
tamām umr sitāre talāsh kartā phirā
palaT ke dekhā to mahtāb mere sāmne thā
maiñ ik sadā ke tahayyur meñ ghir gayā varna
kinārā sāmne girdāb mere sāmne thā
kitāb-e-ishq khulī thī sunā rahā thā koī
maiñ paḌh rahā thā nayā baab mere sāmne thā
maiñ DhūñDtā rahā maazī ke gum-shuda aurāq
nisāb-e-mimbar-o-mehrāb mere sāmne thā
ridā-e-faqr bachā le ga.ī mujhe varna
fareb-e-atlas-o-kam-ḳhvāb mere sāmne thā
Top Urdushayar.com