Saleem Kausar

ab faisla karne ki ijazat di jae

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
ab faisla karne kī ijāzat dī jaa.e
yā phir hameñ manzil kī bashārat dī jaa.e
dīvāne haiñ ham jhuuT bahut bolte haiñ
ham ko sar-e-bāzār ye izzat dī jaa.e
phir gard-e-mah-o-sāl meñ aT jā.eñge
ā.īna banāyā hai to sūrat dī jaa.e
isrār hī karte ho to apnā samjho
denā hī agar hai to mohabbat dī jaa.e
vo jis ne mujhe qatl pe uksāyā thā
us shaḳhs se milne kī bhī mohlat dī jaa.e
jab merī gavāhī bhī mire haq meñ nahīñ
phir shahr meñ kis kis kī shahādat dī jaa.e
ham jāgte rahne ke bahut aadī haiñ
ham ko shab-e-hijrāñ kī masāfat dī jaa.e
chhiḌ jaa.e to tabqāt kī ab jañg 'salīm'
kuchh bhī ho magar ham ko na zahmat dī jaa.e
Top Urdushayar.com