Saleem Kausar

Dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945

Dūbne vaale bhī tanhā the tanhā dekhne vaale the

jaise ab ke chaḌhe hue the dariyā dekhne vaale the

aaj to shaam se ā.ankhoñ meñ niiñd ne ḳheme gaaḌ diye

ham to din nikle tak terā rasta dekhne vaale the

ik dastak rim-jhim ne andeshoñ ke dar khol diye

raat agar ham so jaate to sapnā dekhne vaale the

ek savār saj-dhaj ko rastoñ vahshat nigal ga.ī

varna is tyauhār pe ham bhī mela dekhne vaale the

maiñ ne jis saf ko chhoḌā hai us meñ shāmil saare log

apne qad ko bhuul ke apnā saayā dekhne vaale the

maiñ paanī aur aag se ik miTTī ḳhātir lauTā thā

aur ye donoñ aalam khel-tamāshā dekhne vaale the

ab ā.īna hairat se ik ik muñh taktā hai 'salīm'

pahle log to ā.īñe meñ chehra dekhne vaale the

Top Urdushayar.com