jo merī āḳhirī ḳhvāhish kī tarjumāñ Thahrī
vo ek ġhārat-e-jāñ hī matā-e-jāñ Thahrī
ye ġham nahīñ ki mirā āshiyāñ rahā na rahā
ḳhushī ye hai ki yahīñ barq be-amāñ Thahrī
vo terī chashm-e-fusūñ-sāz thī ki mauj-e-karam
vahīñ vahīñ pe maiñ Duubā jahāñ jahāñ Thahrī
kabhī the us meñ mirī zindagī ke hañgāme
vo ik galī jo guzargāh-e-dushmanāñ Thahrī
vahī thī ziist kā hāsil vahī thī lutf-e-hayāt
vo ek sā.at-e-rañgīñ jo be-karāñ Thahrī
maiñ us ko bhuul bhī jā.ūñ to kis tarah 'nāsir'
jo shart-e-ḳhās mire un ke darmiyāñ Thahrī