Nasir Zaidi

wo ek shaKHs ki jis se shikayaten thin bahut

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943
vo ek shaḳhs ki jis se shikāyateñ thiiñ bahut
vahī aziiz usī se mohabbateñ thiiñ bahut
vo jab milā to diloñ meñ koī talab hī na thī
bichhaḌ gayā to hamārī zarūrateñ thiiñ bahut
har ek moḌ pe ham TūTte bikharte rahe
hamārī ruuh meñ pinhāñ qayāmateñ thiiñ bahut
pahuñch ga.e sar-e-manzil tirī tamannā meñ
agarche raah kaThin thī sa.ūbateñ thiiñ bahut
vo yuuñ milā hai ki jaise kabhī milā hī na thā
hamārī zaat pe jis kī ināyateñ thiiñ bahut
hameñ ḳhud apne hī yāroñ ne kar diyā rusvā
ki baat kuchh bhī na thī aur vazāhateñ thiiñ bahut
hamāre ba.ad huā us galī meñ sannāTā
hamāre dam se hī 'nāsir' hikāyateñ thiiñ bahut
Top Urdushayar.com