thoḌā sā muskurā ke nigāheñ milā.iye
mujh ko mirī hayāt kā maqsad batā.iye
mujh se bhī kuchh huzūr ta.alluq thā aap kā
yuuñ be-muravvatī se na dāman chhuḌā.īye
shāyad kisī maqām pe maiñ kaam aa sakūñ
mujh ko bhī saath lījiye tanhā na jā.iye
guzregā is taraf se bhī ik din hujūm-e-gul
har-chand aap raah meñ kāñTe bichhā.iye
'nāsir' udāsiyāñ to raheñgī yūñhī mudām
Dhalne lagī hai raat koī giit gā.iye