Nasir Zaidi

kabhi bhule se mumkin ho meri jaanib agar hona

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943
kabhī bhūle se mumkin ho mirī jānib agar honā
to auroñ kī taraf se apnī nazreñ pher kar honā
musalsal hijr ke sadme ye dil ab sah nahīñ saktā
ghaḌī bhar kā judā honā agar bār-e-digar honā
ġhanīmat hai ki ik rasmī ta.āruf to mayassar hai
nahīñ āsāñ kisī mah-vash kā manzūr-e-nazar honā
na honā tum kisī ke bhī yahāñ par ham-safar yāro!
agar honā samajh kar soch kar kuchh dekh kar honā
nahīñ hai bā.is-e-āzār-e-jāñ tarz-e-amal koī
magar us kā mire baare meñ akasr be-ḳhabar honā
vo sun lete haiñ yuuñ to sher mere rū-ba-rū phir bhī
zarūrī to nahīñ har dil pe sheroñ kā asar honā
maiñ apnī zaat meñ jaisā bhī huuñ jo kuchh bhī huuñ 'nāsir'
farishtoñ se kahīñ behtar hai mujh sā bhī bashar honā
Top Urdushayar.com