tujh se milūñgā phir kabhī ḳhvāb-o-ḳhayāl bhī nahīñ
chehre pe in dinoñ magar gard-e-malāl bhī nahīñ
ā.īna-e-sifāt meñ zaat kā aks kyā mile
us kī talāsh ho kahāñ jis kī misāl bhī nahīñ
tere sitam kī guftugū tere karam kī justujū
sub.h-e-firāq bhī nahīñ shām-e-visāl bhī nahīñ
mujh ko talab se kyā milā dard-o-sarāb āgahī
merī nazar meñ mo'tabar shahr-e-jamāl bhī nahīñ
vo bhī the din ki aa.ina ban ke vo sāmne rahe
ye bhī hai ab ki ḳhvāhish-e-pursish-e-hāl bhī nahīñ