Nasir Zaidi

ruh-e-ehsas hai tahi-daman

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943
rūh-e-ehsās hai tahī-dāman
dil hai yā hasratoñ kā ik madfan
phailtī jā rahī hai tārīkī
shaam mahsūs kar rahī hai thakan
multafit jab se hai nazar un kī
dil ko dar-pesh hai na.ī uljhan
merī yādoñ se gul-ba-dāmāñ hai
ek zohra-jamāl kā āñgan
ādamiyat kahīñ na ho rusvā
zindagī kā badal rahā hai chalan
har sitāra mire muqaddar kā
un ke māthe kī ban gayā hai shikan
luT chukā huuñ rah-e-tamannā meñ
aarzū ab to chhoḌ de dāman
kis ko apnā kaheñ ki ai 'nāsir'
har hasīñ shaḳhs hai vafā dushman
Top Urdushayar.com