Nasir Zaidi

ehsas ke sharar ko hua dene aaunga

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943
ehsās ke sharar ko huā dene ā.ūñgā
maiñ shahr-e-jāñ ko raakh banā dene ā.ūñgā
likkhe the harf-e-shauq jo maiñ ne tire liye
ab āñ.suoñ se un ko miTā dene ā.ūñgā
tū ne atā kiye haiñ mujhe kitne dard-o-ġham
is lutf-e-ḳhās kā maiñ sila dene ā.ūñgā
samjhā diyā hai tū ne mohabbat hai ik ḳhatā
maiñ is ḳhatā kī ḳhud ko sazā dene ā.ūñgā
aayā tirī galī meñ agar lauT kar kabhī
guzre hue dinoñ ko sadā dene ā.ūñgā
paayā thā rāh-e-shauq meñ jo karb-e-āgahī
is karb-e-āgahī ko sulā dene ā.ūñgā
bāhar nikal ke jism ke zindāñ se ek din
maiñ tujh ko zindagī kī duā dene ā.ūñgā
maiñ kushta-e-vafā sahī 'nāsir' magar zarūr
ik bevafā ko dād-e-vafā dene ā.ūñgā
Top Urdushayar.com