āñkhoñ meñ chubh rahī hai guzartī rutoñ kī dhuup
jalva dikhā.e ab to na.e mausamoñ kī dhuup
shām-e-firāq guzre to sūraj tulūa ho
dil chāhtā hai phir se vahī qurbatoñ kī dhuup
is meñ tamāzateñ bhī sahī shiddateñ to haiñ
ulfat kī chhāñv se hai bhalī nafratoñ kī dhuup
maiñ us ke vāste huuñ bahāroñ kī chāñdnī
us kā vajūd mere liye sardiyoñ kī dhuup
mahrūmī-e-visāl hai 'nāsir' mujhe qubūl
is par magar paḌe na kabhī gardishoñ kī dhuup