Nasir Zaidi

wo roab-e-husn tha us ka salam bhul gaya

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943
vo ro.ab-e-husn thā us kā salām bhuul gayā
karā sakā na ta.āruf meñ naam bhuul gayā
idhar udhar kī huī ḳhuub guftugū us se
bahut zarūrī thā sab se jo kaam bhuul gayā
ġham-e-jahāñ ne kiyā is qadar ḳharāb ki maiñ
jo dostoñ meñ gizārī thī shaam bhuul gayā
zabān-e-ġhair se maiñ terā tazkira sun kar
zarā sī der meñ sab ehtirām bhuul gayā
rakhā jo us ne mohabbat se haath kāñdhe par
jo dil meñ dard thā mere tamām bhuul gayā
ye kaisī rāh-e-tamannā thī mere pesh-e-nazar
chalā to chal ke faqat chand gaam bhuul gayā
maiñ us kī zaat meñ gum is tarah huā 'nāsir'
kahāñ ke hosh o ḳhirad sab kalām bhuul gayā
Top Urdushayar.com