Nasir Zaidi

is tawaqqoa pe khula rakkha gareban apna

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943

is tavaqqo.a pe khulā rakkhā garebāñ apnā

jaane kab aan mile jān-e-bahārāñ apnā

lamhe lamhe rifāqat thī kabhī vaj.h-e-nashāt

mausam-e-hijr huā ab sar-o-sāmāñ apnā

nit-na.e ḳhvāb dikhātā hai ujāloñ ke liye

vo ki hai dushman-e-jāñ dushman-e-īmāñ apnā

nik.hat-e-gul nahīñ ḳhaak bhī hai ham ko aziiz

apnā sahrā hai chaman apnā ḳhayābāñ apnā

dekh letī hai jahāñ azm-o-yaqīñ ke paikar

ruḳh badaltī hai vahāñ gardish-e-daurāñ apnā

ye to maanā ki huī ishq meñ rusvā.ī bahut

ho gayā naam ġhazal meñ to numāyāñ apnā

us se bichhḌe haiñ to mahsūs huā hai 'nāsir'

haal itnā to na thā pahle pareshāñ apnā

Top Urdushayar.com