Nasir Zaidi

jaanib-e-dasht kabhi tum bhi nikal kar dekho

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943
jānib-e-dasht kabhī tum bhī nikal kar dekho
dosto ābla-pā.ī kā amal kar dekho
merī āshufta-sarī par na hañso ai logo
ishq kī aag meñ ḳhud bhī zarā jal kar dekho
tum jo chāho to mire dil ko sukūñ mil jaa.e
apnā andāz-e-nazar kuchh to badal kar dekho
maiñ tumheñ jiine ke andāz sikhā saktā huuñ
ek do gaam mere saath to chal kar dekho
chāñdnī-rātoñ meñ phirtā hai koī āvāra
tum ko fursat jo mile ghar se nikal kar dekho
fāsle barsoñ ke pal-bhar meñ simaT ā.eñge
aaj kī shab mire pahlū meñ machal kar dekho
us kā chehra hai kisī dasht kā sūraj 'nāsir'
us kī jānib kabhī dekho to sambhal kar dekho
Top Urdushayar.com