Nasir Zaidi

hum ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte hain

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943
ham ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte haiñ
har qadam ek na.ī rāhguzar rakhte haiñ
zad pe tūfān ke kāġhaz kā nagar rakhte haiñ
laakh sailāb-e-havādis ho magar rakhte haiñ
is ke bā-vasf ki har samt añdherā hai muhīt
ham haiñ vo log jo ummīd-e-sahar rakhte haiñ
terī bāteñ tirī yādeñ tire rañgīn ḳhutūt
apne hamrāh yahī zād-e-safar rakhte haiñ
ham ḳhatāvār-e-zamāna haiñ farishte to nahīñ
haiñ ziyāñ-kār ki ausāf-e-bashar rakhte haiñ
dil ke juzdān meñ ik naam sajā hai 'nāsir'
ham kisī haal meñ hoñ us kī ḳhabar rakhte haiñ
Top Urdushayar.com