bujhī hai aag magar is qadar ziyāda nahīñ
dobāra milne kā imkān hai irāda nahīñ
kiyā hai vaqt ne yuuñ taar taar pairāhan
barahnagī ke sivā jism par labāda nahīñ
tirā ḳhayāl hai tanhā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
mire nasīb meñ ab vasl kā i.aada nahīñ
milā bhī vo to kahāñ us kā naam likkheñge
kitāb-e-zīst kā koī varaq bhī saada nahīñ
na zaat meñ koī manzil na kā.enāt meñ hai
safar karūñ to kahāñ koī merā jaada nahīñ
havā ke saath hī shāyad badal ga.ī duniyā
ki jaam jaam nahīñ aur baada baada nahīñ
ḳhud apne saa.e meñ hī baiThnā paḌā 'nāsir'
koī shajar mire raste meñ īstāda nahīñ