dayār-e-shauq meñ kosoñ kahīñ havā bhī nahīñ
umas hai aisā ki patta koī hilā bhī nahīñ
ḳhafā nahīñ hai magar is adā ko kyā kahiye
pukārtā huuñ to vo muḌ ke dekhtā bhī nahīñ
ye kis maqām pe tanhā.ī sauñpte ho mujhe
ki ab to tark-e-tamannā kā hausla bhī nahīñ
baḌā gila hai dil-e-ġham-parast ko tum se
vo dard us ko diyā hai jo lā-davā bhī nahīñ
kahāñ talāsh kareñ juz tire sukūn-e-nazar
ki is jahāñ meñ koī tujh sā dūsrā bhī nahīñ
basā huā hai mire dil meñ bū-e-gul kī tarah
vo duur duur hai mujh se magar judā bhī nahīñ
kise sunāoge tum muzhda-e-sahar 'nāsir'
vo rat-jage hue ab koī jāgtā bhī nahīñ