phir añdheroñ ne rāste roke
phir na.e ḳhizr haiñ na.e dhoke
ġham ke māroñ kī sādgī dekho
māñgte haiñ ye har ḳhushī ro ke
ham ki jūyā-e-ālam-e-nau the
ghar ko lauTe kahāñ kahāñ ho ke
ham se mat pūchh sub.h kab hogī
ham ne sadiyāñ gañvā.ī haiñ so ke
juz ajal koī to sila miltā
zindagī tere bojh ko Dho ke
zahar zindāñ salīb yaad aa.e
zehn meñ tuḳhm-e-āgahī bo ke
baat insāñ kī kyuuñ sune 'ahsan'
jo farishta ho vo use Toke