hifz-e-gul ke liye rakhte jo nigahbāñ kuchh aur
ho gayā phūloñ se mahrūm gulistāñ kuchh aur
luT ke sahme hue paudoñ ne ye sargoshī kī
ab nigahbānoñ pe rakkheñge nigahbāñ kuchh aur
shahr-e-dil kuchh to sajā leñ ki bharam rah jaa.e
husn-e-fāteh ko haiñ tārāj ke armāñ kuchh aur
vaqt har saañs ke badle meñ pasīna māñge
dil ye chāhe ki ho āsān bhī āsāñ kuchh aur
shahr se phir koī vahshī idhar aayā shāyad
aaj sahrā meñ haiñ andāz-e-ġhazālāñ kuchh aur
jin ko mashshātgī-e-zulf kā da.avā thā bahut
kar ga.e gesū-e-getī vo pareshāñ kuchh aur
phir kabhī ho ki na ho milne kī sūrat paidā
chand saa.at hī chale mahfil-e-yārāñ kuchh aur
kuchh na hone pe bahut kuchh hai mayassar 'ahsan'
kaash hote tire māmūre meñ insāñ kuchh aur