ab to bosīda ho chale haiñ ham
TūTne phūTne lage haiñ ham
zaḳhm-e-dil kī kasak chhupāne ko
jism par ghaav chāhte haiñ ham
ab nahīñ fikr-e-sūd rañj-e-ziyāñ
ḳhvār honā thā ho chuke haiñ ham
ab sabhī kuchh hameñ gavārā hai
haa.e kitne badal ga.e haiñ ham
ham se dāman bachā ke chaltī hai
ai sabā tujh ko jānte haiñ ham
rāhbar ke baġhair hī 'ahsan'
na.ī rāhoñ pe chal sake haiñ ham