khultī hī nahīñ aañkh ujāloñ ke bharam se
shab-rañg huā jā.ūñ maiñ sūraj ke karam se
tarkīb yahī hai use phūloñ se Dhakā jaa.e
chehre ko bachānā bhī hai patthar ke sanam se
ik jhiil sarīkhī hai ġhazal dasht-e-adab meñ
jo duur thī jo duur rahī duur hai ham se
āḳhir ye khulā vo sabhī tājir the guhar ke
jin ke bhī marāsim the mire dīda-e-nam se
kyuuñ kar vo kisī miil ke patthar pe Thahar jaa.e
kyuuñ rind kī nisbat ho tire dair-o-haram se
ye mere taḳhallus kā asar mujh pe huā hai
ab yaad nahīñ apnā mujhe naam qasam se