Mayank Awasthi

sitara ek bhi baqi bacha kya

Mayank Awasthi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1964
sitāra ek bhī baaqī bachā kyā
nigoḌī dhuup khā jaatī hai kyā kyā
falak kañgāl hai ab pūchh liije
sahar ne muñh dikhā.ī meñ liyā kyā
sab ik bahre fanā ke bulbule haiñ
kisī kī ibtidā kyā intihā kyā
jazīre sar uThā kar hañs rahe haiñ
zarā socho samundar kar sakā kyā
ḳhirad ik nuur meñ zam ho rahī hai
jharokā āgahī kā khul gayā kyā
bahut sharmāoge ye jaan kar tum
tumhāre saath ḳhvāboñ meñ kiyā kyā
use ḳhud-kush nahīñ majbūr kahiye
badal detā vo dil kā faisla kyā
barahna thā maiñ ik shīshe ke ghar meñ
mirā kirdār koī kholtā kyā
ajal kā ḳhauf taarī hai azal se
kisī ne ek lamha bhī jiyā kyā
makīñ ho kar muhājir ban rahe ho
miyāñ yak-laḳht bhejā phir gayā kyā
ḳhudā bhī dekhtā hai dhyān rakhnā
ḳhudā ke naam par tum ne kiyā kyā
uThā kar sar bahut ab boltā huuñ
mirā kirdār baunā ho gayā kyā
Top Urdushayar.com