vahī azaab vahī aasrā bhī jiine kā
vo merā dil hī nahīñ zaḳhm bhī hai siine kā
maiñ be-libās hī shīshe ke ghar meñ rahtā huuñ
mujhe bhī shauq hai apnī tarah se jiine kā
vo dekh chāñd kī pur-nūr kahkashāoñ meñ
tamām rañg hai ḳhurshīd ke pasīne kā
maiñ pur-ḳhulūs huuñ phāgun kī dopahar kī tarah
tirā mizāj lage puus ke mahīne kā
samundaroñ ke safar meñ sambhāl kar rakhnā
kisī kueñ se jo paanī milā hai piine kā
'mayañk' aañkh meñ sailāb uTh na paa.e kabhī
ki ek ashk musāfir hai is safīne kā