miyāñ majbūriyoñ kā rabt aksar TuuT jaatā hai
vafā.eñ gar na hoñ buniyād meñ ghar TuuT jaatā hai
shanāvar ko koī daldal nahīñ dariyā diyā jaa.e
jahāñ kam-zarf baiThe hoñ suḳhnavar TuuT jaatā hai
anā ḳhud-dār kī rakhtī hai us kā sar bulandī par
kisī poras ke aage har sikandar TuuT jaatā hai
ham apne dosto ke tanz sun kar muskurāte haiñ
magar us vaqt kuchh andar hī andar TuuT jaatā hai
mire dushman ke jo hālāt haiñ un se ye zāhir hai
ki ab shīshe se Takrāne pe patthar TuuT jaatā hai
sañjo rakkhī haiñ dil meñ qīmtī yādeñ magar phir bhī
bas ik nāzuk sī Thokar se ye locker TuuT jaatā hai
kināre par nahīñ ai dost maiñ ḳhud hī kināra huuñ
mujhe chhūne kī koshish meñ samundar TuuT jaatā hai