sādgī pahchān jis kī ḳhāmushī āvāz hai
sochiye us ā.īne se kyuuñ koī nārāz hai
be-sabab sāyoñ ko apne lambe qad pe naaz hai
ḳhaak meñ mil jā.eñge ye shaam kā āġhāz hai
yuuñ havā lahroñ pe kuchh tahrīr kartī hai magar
jhuum kar bahtā hai dariyā kā yahī andāz hai
dekh kar shāhīñ ko pinjre meñ patiñgā kuchh kahe
jāntā vo bhī hai kis meñ quvvat-e-parvāz hai
kyuuñ muġhannī ke liye bechain hai tū is qadar
ai dil-e-nādāñ ki tū to ik shikasta saaz hai