Mayank Awasthi

bikhar jae na meri dastan tahrir hone tak

Mayank Awasthi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1964
bikhar jaa.e na merī dāstāñ tahrīr hone tak
ye āñkheñ bujh na jaa.e ḳhvāb kī ta.abīr hone tak
chalā.e jā abhī tesha qalam kā koh-e-zulmat par
siyāhī vaqt bhī letī hai jū-e-shīr hone tak
isī ḳhātir mire ash.ār ab tak Diary meñ haiñ
kisī aalam meñ jī leñge ye ālamgīr hone tak
tire āġhāz se pahle yahāñ jugnū chamakte the
ye bastī muflisoñ kī thī tirī jāgīr hone tak
mujhe tanz-o-malāmat kī baḌī darkār hai yuuñ bhī
anā ko shaan bhī to chāhiye shamshīr hone tak
mohabbat āḳhirash le aa.ī hai ik band kamre meñ
terī tasvīr ab dekhūñgā ḳhud tasvīr hone tak
Top Urdushayar.com