bam phūTne lageñ ki samundar uchhal paḌe
kab zindagī pe kaun bavanDar uchhal paḌe
dushman mirī shikast pe muñh khol kar hañse
aur dost apne jism ke andar uchhal paḌe
gahrā.iyāñ simaT ke bikharne lagīñ tamām
ik chāñd kyā dikhā ki samundar uchhal paḌe
mat chheḌiye hamāre charāġhe-e-ḳhulūs ko
shāyad koī sharār hī muñh par uchhal paḌe
ghoḌoñ kī be-lagām chhalāñgoñ ko dekh kar
bachhḌe kisī nakel ke dam par uchhal paḌe
gahrī nahīñ thī aur machaltī thī be-sabab
aisī nadī milī to shanāvar uchhal paḌe
yuuñ muñh na phernā ki sabhī dost haiñ yahāñ
kab aur kahāñ se piiTh pe ḳhanjar uchhal paḌe