ik chāñd tīrgī meñ samar raushnī kā thā
phir bhed khul gayā vo bhañvar raushnī kā thā
sūraj pe tū ne aañkh tarerī thī yaad kar
bīnā.iyoñ pe phir jo asar raushnī kā thā
sab chāñdnī kisī kī ināyat thī chāñd par
us dāġhdār show pe kavar raushnī kā thā
maġhrib kī mad-bharī huī rātoñ meñ kho gayā
is ghar meñ koī laḳht-e-jigar raushnī kā thā
dariyā meñ us ne Duub ke kar lī hai ḳhud-kushī
jis shai kā āsmāñ pe safar raushnī kā thā
zarre ko āftāb banāyā thā ham ne aur
dhartī pe qahr shām-o-sahar raushnī kā thā