āñkhoñ meñ bas gayā koī bāñhoñ se duur hai
chāhā hai chāñd ko yahī apnā qusūr hai
dozaḳh meñ jī rahā huuñ isī ek aas pe
jannat ko koī rāsta jaatā zarūr hai
maiñ laḌkhaḌā rahā huuñ sadāqat kī raah pe
is ruuh pe abhī bhī badan kā surūr hai
ye raushnī ke daaġh ujāle to haiñ nahīñ
qāsir sā āsmāñ ke sitāroñ kā nuur hai
ab kyā batā.eñ tum ko sifat dil ke daaġh kī
ham muflisoñ ke paas koī koh-e-nūr hai
bhagvān ban gayā hai mirā yaar aaj kal
rahtā hai saath phir bhī lage duur duur hai
kyuuñ ishq kī karāh gadāgar kī aah ho
kyā husn kā ġhurūr ḳhudā.ī kā nuur hai