bachpan meñ is daraḳht pe kaisā sitam huā
jo shāḳh is kī maañ thī vahāñ se qalam huā
munsif ho yā gavāh manāeñge apnī ḳhair
gar faisla anā se mirī kuchh bhī kam huā
ik raushnī taḌap ke ye kahtī hai bārhā
kyuuñ āsmāñ kā nuur ghaTāoñ meñ zam huā
yak-laḳht aa ke aaj vo mujh se lipaT gayā
jo fāsla diloñ meñ thā ashkoñ meñ zam huā