tāroñ se aur baat meñ kamtar nahīñ huuñ maiñ
jugnū huuñ is liye bhī falak par nahīñ huuñ maiñ
sadmoñ kī bārisheñ mujhe kuchh to ghulā.eñge
putlā huuñ ḳhaak kā koī patthar nahīñ huuñ maiñ
dariyā-e-ġham meñ barf ke tuude kī shakl meñ
muddat se apne qad ke barābar nahīñ huuñ maiñ
us kā ḳhayāl us kī zabāñ us ke tazkire
us ke qafas se aaj bhī bāhar nahīñ huuñ maiñ
maiñ tishnagī ke shahr pe TukḌā huuñ abr kā
koī gila nahīñ ki samundar nahīñ huuñ maiñ
kyuuñ zahr zindagī ne pilāyā mujhe 'mayañk'
vo bhī to jāntī thī ki shañkar nahīñ huuñ maiñ