ḳhushk āñkhoñ se koī pyaas na joḌī ham ne
aas ham se jo sharāboñ ko thī toḌī ham ne
bārhā ham ko milā apne lahū meñ vo sharar
apnī dukhtī huī rag jab bhī nichoḌī ham ne
jo sañvarne ko kisī taur bhī raazī na huī
bhaaḌ meñ pheñk dī duniyā vo nigoḌī ham ne
is tarah ham ne samundar ko pilāyā paanī
apnī kashtī kisī sāhil pe na moḌī ham ne
jab koī chāñd milā daaġh na dekhe us ke
aañkh sūraj se milā kar na sikoḌī ham ne
gard ġhairat ke badan par jo nazar aa.ī kabhī
der tak apnī anā ḳhuub jhinjhoḌī ham ne