isī ḳhātir to us kī aartī ham ne utārī hai
ġhazal bhī maañ hai aur us kī bhī sheroñ kī savārī hai
mohabbat dharm hai ham shā.iroñ kā dil pujārī hai
abhī firqa-parastoñ pe hamārī nasl bhārī hai
sitāre chāñd sūraj phuul jugnū saath haiñ har-dam
koī sarhad nahīñ aisī ajab duniyā hamārī hai
vo dil ke dard kī ḳhushbū kā aalam hai ki mat pūchho
tumhārī yaad meñ ye umr jannat meñ guzārī hai
ye duniyā kyā sudhāregī hameñ ham to haiñ dīvāne
hamīñ logoñ ne ab tak aql duniyā kī sudhārī hai