Mayank Awasthi

jab KHud mein kuchh mila na KHad-o-Khaal ki tarah

Mayank Awasthi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1964
jab ḳhud meñ kuchh milā na ḳhad-o-ḳhāl kī tarah
kuchh aa.ine meñ DhūñDh liyā baal kī tarah
soī huī hai sub.h kī talvār jab talak
ye shab hai jugnuoñ ke liye Dhaal kī tarah
kuchh raushnī ke daaġh ujāle kā ek zaḳhm
kuchh to hai shab ke dil meñ zar-o-māl kī tarah
tahrīr kar rahī hai mirī past tishnagī
jhīloñ ko pāniyoñ ke bichhe jaal kī tarah
nāgin hai koī bel shajar bā-ḳhabar nahīñ
keñchul chaḌhī ho tan pe agar chhāl kī tarah
phir bhī tamām daaġh chhupā.e na chhup sake
go chāñdnī badan pe rahī shaal kī tarah
bas aa.ine se ek mulāqāt ke sabab
lamhāt ho ga.e haiñ mah-o-sāl kī tarah
tum jhuk ga.e 'mayañk' zamāne ke sāmne
phūloñ se aur phaloñ se ladī Daal kī tarah
Top Urdushayar.com