koī dastak koī Thokar nahīñ hai
tumhāre dil meñ shāyad dar nahīñ hai
use is dasht kā kyā ḳhauf hogā
vo apne jism meñ ho kar nahīñ hai
miyāñ kuchh ruuh Daalo shā.irī meñ
abhī manzar meñ pas-manzar nahīñ hai
tirī dastār tujh ko Dho rahī hai
tire kāñdhoñ pe terā sar nahīñ hai
ise la.anat samajhiye ā.inoñ par
kisī ke haath meñ patthar nahīñ hai
ye duniyā āsmāñ meñ uḌ rahī hai
ye lagtī hai magar be-par nahīñ hai