vo dilbar haiñ to goyā dilbarī karnī paḌegī
unhīñ ke naam dil kī Diary karnī paḌegī
vo un ko jānte haiñ aur un ke hāl-e-dil ko
so un ke dostoñ se dostī karnī paḌegī
hamāre darmiyāñ ye dukh hī qadr-e-mushtarak haiñ
so ham ko ijtimā.ī ḳhud-kushī karnī paḌegī
badan ko ruuh se mahrūm kar Daalā gayā hai
basar is taur hī ab zindagī karnī paḌegī
bulāyā jaa.e kaise us shanāsā-e-suḳhan ko
bapā ik bazm-e-sher-o-shā.erī karnī paḌegī
bahut muddat se hañsnā bhuul kar baiThī huī hai
tumheñ 'raḳhshanda' shāyad gudgudī karnī paḌegī