Rakhshanda Naved

kaise niklun KHumar se bahar

Rakhshanda Naved

1959
kaise niklūñ ḳhumār se bāhar
bāzuoñ ke hisār se bāhar
dard niklā hai sabr kī had se
ashk nikle qatār se bāhar
chand lamhoñ kī muḳhtasar qurbat
aur yādeñ shumār se bāhar
is liye us kī yaad meñ gum huuñ
bhūlnā iḳhtiyār se bāhar
aur jaa.eñ kahāñ mah o anjum
roz-o-shab ke madār se bāhar
tifl-e-dil phir udaas baiThā hai
koī le jaa.e pyaar se bāhar
koī 'raḳhshanda' milne aayā hai
chal chaleñ intizār se bāhar
Top Urdushayar.com