Rakhshanda Naved

is lamha-e-viran mein chup chand nazar chup

Rakhshanda Naved

1959
is lamha-e-vīrān meñ chup chāñd nazar chup
ik raat kī hairat meñ giraftār nagar chup
kis qatl meñ matlūb hue shahr ko ham log
kyoñ karne lage apnī guzar aur basar chup
kuchh aur abhī bol abhī aur bhī kuchh kah
kyoñ lab pe vahī mohr-sifat bār-e-digar chup
maiñ sāhil dariyā se khaḌī dekh rahī huuñ
sākin hai har ik lahr to har ek bhañvar chup
kis gahre añdhere ke tazabzub meñ ghirī huuñ
ḳhāmosh hai dīvār yaqīñ vahm kā dar chup
Top Urdushayar.com