DhūñDhnā milnā bichhaḌnā kahīñ khonā ruk jaa.e
ye jo hotā hai tabī.at meñ ye honā ruk jaa.e
ġham kī bad-rūh se kuchh aur tavaqqo.a mat rakh
raat ke pichhle pahar us kā ye ronā ruk jaa.e
har mahīne kī tarah phir se baḌhe iḳhrājāt
phir kahīñ nanhe se bachche kā khilaunā ruk jaa.e
is liye duble hue jaate haiñ sab ahl-e-ishq
khānā-pīnā na rahe chain se sonā ruk jaa.e
dil kī barbādī bhī hai dast-darāzī misdāq
jo tire saath huā auroñ se honā ruk jaa.e