āsmāñ us ke liye aur zamīñ us ke saath
shahr kā chal diyā har ek hasīñ us ke saath
bas yahī soch ke maiñ bhūkī rahī kitne din
hogī ik dāvat-e-shīrāz kahīñ us ke saath
naav ko chaar taraf ghere khaḌe the girdāb
ye magar faisla merā thā nahīñ us ke saath
kaise maiñ ḳhālī karā saktī thī ye dil apnā
ghar ke dīvār-o-dar-o-aks-o-makīñ us ke saath
vo jo ik pair tale shaḳhs hai bhūkā pyāsā
boriyā merā lagā diijo vahīñ us ke saath
us kī firoza-nigāhī meñ ajab jaadū hai
rañg tabdīl kare chashm-e-nagīñ us ke saath
duur ākāsh pe raushan rahe husn-e-mahtāb
apnī 'raḳhshanda' munavvar hai jabīñ us ke saath