Rakhshanda Naved

harf-ta-harf uftad ki shairi

Rakhshanda Naved

1959
harf-tā-harf uftād kī shā.irī
dil kī ik shahr-e-barbād kī shā.irī
kab samundar kināroñ kā muhtāj hai
kab dil mauj-e-āzād kī shā.irī
bāñsurī kī madhur lai se bāhar nikal
sun zarā rūh-e-nāshād kī shā.irī
tark hotī nahīñ aisī kuchh ādateñ
fikr dād-e-havas daad kī shā.irī
tauba tauba ki rakkhī hai fōtpath par
'mīr' sāhab se ustād kī shā.irī
karte karte sipurd-e-qalam kar ga.ī
mujh pe jaadū parī-zād kī shā.irī
chashm-e-bārāñ kā dukh bāñTanā farz hai
kuchh kareñ abr kī baad kī shā.irī
rabt ke daur meñ ḳhuub likhte the ham
be-sabab be-maza baad kī shā.irī
raat palkoñ meñ 'raḳhshanda' kāTeñge ham
tā-sahar hogī ab yaad kī shā.irī
Top Urdushayar.com