Rakhshanda Naved

samundar bhi hua ibrat-nishan pani hi pani

Rakhshanda Naved

1959
samundar bhī huā ibrat-nishāñ paanī hī paanī
mire chāroñ taraf hai al-amāñ paanī hī paanī
ajab duniyā hai is ko fikr-e-duniyā hī nahīñ hai
faqat dekhā hai to girya-kunāñ paanī hī paanī
nigāh-e-nam se is nisbat bhī rishta joḌe rakkhā
ki maiñ huuñ ek sahrā aur vahāñ paanī hī paanī
tumhāre saath jis dam tan-badan bārish meñ bhīgā
lahū ban kar ragoñ meñ thā ravāñ paanī hī paanī
samundar se hasad karne ko ab jī chāhtā hai
hazāroñ saal se yūñhī javāñ paanī hī paanī
yahāñ se bach nikalne kā koī rasta nahīñ hai
kināre aur un ke darmiyāñ paanī hī paanī
Top Urdushayar.com