Nusrat Gwaliari

palak palak sail-e-gham ayan hai na koi aahaT na koi halchal

Nusrat Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1938
palak palak sail-e-ġham ayaañ hai na koī aahaT na koī halchal
kasak ye kaisī darūn-e-jāñ hai na koī aahaT na koī halchal
hamārī bastī meñ har taraf inqalāb-e-nau kā amal thā jaarī
na jaane ye kaun sā jahāñ hai na koī aahaT na koī halchal
lahū uchhalne kā shor jaise fazā meñ gūñjā kabhī nahīñ thā
ye hukm-e-shahr-e-sitamgarāñ hai na koī aahaT na koī halchal
ho sub.h-e-raushan ki shām-e-rañgīñ kisī meñ koī kashish nahīñ hai
har ek ḳhvāhish dhuāñ dhuāñ hai na koī aahaT na koī halchal
na.e zamāne kī maiñ bashārat kā muntazir huuñ magar abhī tak
hayāt aise ravāñ-davāñ hai na koī aahaT na koī halchal
hujūm-e-saut-o-sadā saḌak par julūs ban kar nikal paḌā hai
samā.atoñ kā ye imtihāñ hai na koī aahaT na koī halchal
maiñ apne andar jahāñ chhupā huuñ koī na pahuñchā vahāñ abhī tak
sukūt har samt be-karāñ hai na koī aahaT na koī halchal
fazā kī raunaq zamīñ kī saj dhaj qalam kī jumbish pe munhasir hai
ajiib pābandī-e-zabāñ hai na koī aahaT na koī halchal
mire tasavvur kī nīlgūñ jhiil meñ ek taarā jahāñ girā thā
vahāñ ḳhamoshī balā-e-jāñ hai na koī aahaT na koī halchal
baḌhūñ to aage dhueñ ke bādal haTūñ to pīchhe balāoñ ke dal
ye kaisā manzar yahāñ vahāñ hai na koī aahaT na koī halchal
sukūt siine meñ aisā kab thā gumāñ bhī guzre na dhaḌkanoñ kā
ḳhudā hī jaane ki dil kahāñ hai na koī aahaT na koī halchal
Top Urdushayar.com